Kitna nasamajh tha main,
nahi samajh paya jo us -prem ko;
jisko tumne kabhi abhivyakt nahi kiya
bus apni palkon me hi sanjo ke rakha....
Kyo na dekh paya wo
tripti un nayanon me;
jo chamak banke ubharti thee
jab sahasa mil jate the hum kahin....
Kyo na mahsoon kar paya wo
thande hathon ka sparsh garam hatheli par
jo sada kahna chahti thee shayad
thaam lo mujhe ab main tumhari hoon.....
Kyo na ahsaas kar paya wo
kampan tumhare labho ka
jo kahna to bahoot kuchh chahtey the
par kuchh soch kar rook jate the.....
Kyo na sun paya wo
madhosh dharkano ko
jo chapal hirni si bedharak
bus bhagi ja rahi thee...........
Kitna nasamajh tha main
nahi samajh paya kabhi
prem wo jazbaat hai jiski
anubhuti sabdo se nahi hoti
Dil ki baat dil hi samajh pata hai
labho ki jaroorat nahi hoti
Categories:
Love
0 comments:
Post a Comment