Aaaj main aap sab ke sath ek sacchi
prem kahani share karna chati hoo.
Aur ummed karti hoo ki aap iske baare me
apni har opinion honestly batayenge.
aap logo ki opinion mere liye bahoot
jaroori hai kyoki main khood hi is
baare me confused hoo. to kahani
yaha se shuru hoti hai
Ek yuvati thee koi 27-28 saal ki shadi shuda.
Apni duniya me khoosh,
kisi se koi shikayat nahi.
kahne ko jindgi me sab kuchh tha....
maa-baap, bhai-behan, pati, jeevan
ki gizar basar layak paise.
kul milake acchi jindgi jee rahi thee.
Ek din uski mulakat ek saksh se hui
jo usse umra me bahoot bade the.
Kisi kaam ke sambandh me donoki
mulakat hui.. Pata nahi yuwati ko unme
kya khas laga ki wo bus unke baare me hi
sochne lagi. pata nahi wo kya mohpash tha
jo use unki or kheechne laga aur wo unse
milne ke liye bechain ho gai.
Usne unki taraf dosti ka hath badaya
jo us nek saksh ne kabool kar liya.
20 saal ka umra ka fasla hoke bhi dono
acche dost ban gaye. wo saksh the bhi is
kabil............ decent, helping, good looking,
caring sabhi kuchh accha tha.
Dheere dheere dono kareeb aane lage.
aur isme yuwati ki hi ikchha jyada thee.
Chaliye jyada confusion na ho isliye
hum unhe naam de dete hai.
Yuwati ko hum "S" kahenge
aur saksh ko "PG".
To "PG" to apni taraf se kabhi shuruat
nahi kartey the. shayad unke man me
wo bhawna nahi thee ya unhe apni umra
ka lihaj tha, ya duniya ki parwah.....
khair jo bhi ho "S" to jaise deewani ho gai the.
pata nahi wo kya cheez the jo use
"PG" ka diwana bana rahi thee" "S" hi
apni taraf se unhe phone karti,
unke office me milne jati aur raat
din unke hi khayalo me khoi rahti.
Lekin uske man me bus pyar tha
wasna ya shareer ko koi sthan nahi tha.
wah bus "S" ko kisi tarah se ek baar dekhna
chati thee, pal do pal baat karna chahti the
chahe akele me hi nahi sabke samne mile
par unse kisi tarah mil le. "PG" ko bhala
uske pyar ka asar kaise na hota?
wo dono aur kareeb aa gaye aur pyar
shuru ho gaya. Dono ke beech
me shareer ka koi sthan nahi tha.
* yaha se mera sawal shuru hota hai.
ab tak to unke beech "Platonic Love "
tha par ab....... do opposite sex kaise
bhawok na hotey. jab unhe ekant milta
to wo ek doosre ka hath pakadkar
ghanto baithe rahtey. aur baatey
kartey apne sukh dukh ki. dheer se
ek din "S" ki hi pahal se wo ek doosre
ke aagosh me sama gaye. phir kiss hua.
lekin aam yuva premi-premika ki tarah
wo raat din bus iske liye pagal nahi
rahtey. agar ekant me miltey to bus
thori deer baho me samake
aur pyar ki nishan deke phir baate hi
kartey. matlab yaha sex abhi bhi
prominent nahi hai. phir ek din unme
wo sab hua jo humare samaj me 2 alad
alad shadi shuda logo me vargit hai.
lekin tab bhi we dil se saaf hi the.
unka mel aise hua jaise do nadiyan
ek doosre me sama jati hai.
aur wo akhir din tha jab wo
waise mile.
Uske baad we punne bus premi-premika
ki tarah apni maryadao me. Aaj tak 3-4 yrs gujar
jane ke baad bhi unme wo sambandh
kahayam hai. dono apni jindgi me apne
parivar ke sath bahoot khosh hai.
unke humesha ek doosre ke sukh dukh
ka khayal rahta hai. door rahke bhi
wo dil se kareeb hai. aur unke
beech "sex" jaisi koi cheez nahi hai.
Matlab ek baar pyar ka ufaan aane ke
baad ab ek doosre ke liye pavitra prem hi hai.
mera sawal ye hai ki kya jo bhi hua
wo uchit tha? agar humare samaj se poochha jaye
to ye sawatha galat hi hai. ye charitraheenta
hi hai. lekin main aap logo se poochhna
chati ho..... kya unke beech me aaj jo bhi
rishta hai wo kitna uchit hai?
kya isi ko hum "Platonic Love" kahnege?
Kya hum "S" ko Meera Bai ka aur
"PG" ko Krishna ki tarah justify
kar saktey hai? koi bhi comment karne
ke pahley ye jaroor khayal rakhe
ki ye ek sacchi kahani hai.