Teri Surat Nigahoon Mein

400?404
Teri surat nigahoon main phirti rahe
Ishq tera sataee to main kiya karon
Koi itna to aa kar bata de hameen
Jab teri yaad aee to main kiya karon
Main ne khak_e_nasheman ko bose deye
Aur kah kar yeh dil ko samjha liya
Aashiyaan bana na mera kaam tha
Koi bijli girae to main kiya karon
Main ne mangi thi yeh masjadoon main duaa
Main jise chahta houn woh muj ko mile
Jo mera farz tha main ne poura kiya
Ab KHUDA hi na chaee to main kiya karon
Na lage jaam pe hath yeh shart hai
Jae jo mehkade ko woh kamzarf hai
Muj ko tohmat na do main sharabi naheen
Woh nazar se pilaeen to main kiya karon
Ishq,emaan donoo main tafreeq hai
Par in hi donoo pe mera emaan hai
Jo KHUDA ruthe jae to sajde karon
Aur sanam ruthe jaee to main kiya karon..





Categories:

0 comments:

 

fbactive

fblike